Hazrat Abu Al Fazal Abdul Wahid Tamimi
Rahmatullah Alayh
Aap ka ism e graami Abu al Fazal Abdul Wahid Tamimi Rahmatullah Alayh hai. Aap ke waalid majid ka ism graami Abdul Aziz Rahmatullah Alayh hai. aap ki wiladat ba saadat 22 Rijb al Marjab 227 Hijri Yemen mein bawaqt e asar hui. Aap Hazrat Shaikh Abu Bakr Shibli Rahmatullah Alayh ke mureed o khalefa hain. Aap se be shumaar khalq e Khuda ne raah e hadayat payi. Hazrat Abu al Fazal Abdul Wahid Tamimi Rahmatullah Alayh ne harmain shareef ke kayi doray kiye aur Bilaad Arab o Ajam ki sayahat ki .
aap ne apne waalid Majid Hazrat Abdul Aziz Rahmatullah Alayh 21 shabaan 241Hijri mein silsila Qadria Razaqia mein khilafat haasil ki. phir 23 ramdhan 249 Hijri mein aap ne Hazrat Syed Dawud bin Ahmed Jozqi Abdaali Rahmatullah Alayh se khilafat haasil ki. 24 Rijb 257 Hijri ko aap ne Hazrat Abu Bakr Shibli Rahmatullah Alayh se Baghdad mein khilafat haasil ki. Aap riyazat o ibadat mein aur taqwa o taharat mein yaktai zamana thay. Aap ki aadaat o sifaat apne murshid e kaamil Hazrat Abu Bakr Shibli Rahmatullah Alayh ki terhan theen. Aaphar lamha sunnat e Nabvi ki hifazat farmatay thay. Aap ne silsila Qadria ko bohat farogh bakhsha aur khalq e kaseer ko hadayat zahiri o baatini se murassa farmaya. Aapne shariat o tareqat ki taraqqi mein numaya kirdaar ada kya .
Aap 26 Jamad al Sani 425 Hijri ko is dar e fani se rukhsat hue. Aap ka mazaar Aqdas Hazrat Imam Ahmed bin Hanbal Rahmatullah Alayh ke maqbarah Baghdad shareef mein dareaye Dajla ke kinare tha. dareaye Dajla ki tughyani aur katao ki wajah se ab yeh dono mazaar napaid ho chukay hain .